How to Remove Pimples | Treatment in Hindi


How to Remove Pimples | Treatment in Hindi


Dosto jaisa ki aap jante ho , aaj ke is pollution bhare environment me har kisi ko pimples ki problem hoti hai. Isliye aaj humne ye post specially un logo ke liye taiyar kiya jo log pimples se pareshan hai. So discuss now : How to Remove Pimples | Treatment in Hindi.

Dosto aaj ke iss post me hum kewal ye nhi janenge ki kis prakar se hum pimples ko remove kr skte hai balki ye bhi janenge ki pimples hone ke karan kya hai aur ye kis prakar hmare body ko nuksan pahunchate hai. Taki hum iska behtar ilaz kar ske.

What is Pimple ?
Jaisa ki aap jante ho , pimples koi bimari nhi hai ya fir kahe to ye kisi ko koi jyada pain nhi deti. Lekin pimples kisi ki person ki sundarata ko easily destroy kar sakti hai. Pimples skin ki problems me se hi ek problem hai.

Pimples hamari skin ki sujan hoti hai jisme bacteria janam le lete hai aur fir ye pimples mawad se bhar jate hai. Oil grandhiyo dwara jyada sebam ka nikalna hi is problem ka main reason hai.


Generally pimples face , neck , back , shoulders pr hi hote hai. Haalanki yeh koi bdi problem nhi hai lekin ye kisi bhi person ko man se pareshan kar skte hai kyuki hum jante hai har person ki skin uski inner sundarata ko maintain karti hai.

Sundar skin us person ki helthh ko show karti hai , uski apni body ke parti jagrukta ko show karti hai. Wahi bad skin , pimples , blackheads and whiteheads uski health par negative effects dalti hai..

Reason of Pimples :
Yaha par pimples ke hone ke kai karan hai. Yadi aap in karno ko jan lete hai to aap aasani se pimples se nijat pa sakte hai. Isliye humne sabhi sambhav karno ki list taiyar ki hai.

Bhara Hua Hole
Bacteria
Dead Skin cells
Jyada Oil Ka ban Na
Harmons
Kharab Foods
Androgen
GarbhNirodhak Tablets
Tanav
Lithium
Etc
Yadi aap upar diye gaye karne se duri bnaye rkhte hai to aapko pimples ki pareshani kabhi nhi hogi.



Treatment for Pimples :
Dosto yadi aapko pimples ki pareshani se nhi jujhna hai to aap upar diye gye karno par dhyan dijiye. Yadi aap inka khyal rkhte hai to aapko pimples ki pareshani hogi hi nhi to fir kisi prakar medicine lene ki jrurat nhi pdegi.

Fir bhi agar aapke pimples ho jate hai ye already ho chuke hai to hmesha natural gharelu upay hi apnane chahiye. Kuchh log in chizo ko mahtav nhi dekar chemical wali medicine use krte hai. Sahi baat btau to usne pimples kam nhi jyada hi hote hai..


Some Natural Treatments for Pimples :

Method 1. Use Lemon to Remove Pimples :
Jaisa ki aap jante ho , nimbu me vitamin c paya jata hai. Nimbu me sitric acid bhi paya jata hai jo skin ki dead cells ko khatm karne me badhava deta hai. Sitric acid antibectria ka kam bhi krta hai jo bacteria ko mar deta hai. Isliye aap sone se pahle nimbu ka ras laga skte hai.

Method 2. Use Toothpaste to Remove Pimples :
Jaisa ki aap jante hai ki toothpaste hmare teeth ko bilkul saf kar deta hai usi prakar toothpaste hmare face ko bhi purely clean kar skta hai. Ice treatment ke bad ise use krne pr bahut fayda hota hai.

Aap sone se pahle jis jagah pimples hai waha toothpaste lagaye. Subah uthkar pani se ise saf kar le.

Method 3. Use Ice to Remove Pimples :
Jaisa aap janke hai ki kisi jagah par sujan ho to ice ka shake kiya jata hai. Same agar hum ice ka use pimples wali jagah par krenge to yeh pimples ki sujan , lalima aur sujan ko kam kar dega.

Ice ko face par use krne se yeh hmari skin ki gandgi ko hta dega and jyada oil ko bhi rok degi. Ek kapde me ice lekar pimples wali skin pr dhire dhire shake kre.

Method 4. Clean Skin to Remove Pimples :

Har kisi ko pta hai ki agar hmari skin hi gandi rhegi to pimples honge hi because skin gandi rhne se waha bacteria janm lenge aur pimples ban jayenge. So hmesha apni ki care kre aur saf rkhe.

Face , back , neck etc pr yadi blackheads aur whiteheads hai to us jagah ki safai bahut jruri hai. Pahla treatment cleaning se hi start hota hai. Detergent aur powder se bachne me hi bhalai hai.

Method 5. Use Tonning to Remove Pimples :
Tonning bhi skin se pimples htane me ek important step hai. Yadi aap skin ko maintain krna chahte hai to aapko tonning krni hi chahiye. Skin ki safai ke baad tonning important step hai.

Tonning krne ke liye cotton ki ball ko sirke me dubo kar jis jagah pr pimples hai waha regular halke hatho se lgaye..

Method 6. Use Different Oils to Remove Pimples :
In sabhi steps ke baad ek perfect oil use krna important step hai. Inme chay ke ped ka oil bahut important hai because isme antibacterial gun hote hai. Ye skin pr hone wale blackheads and whiteheads ko sukhane me bhi help krta hai.

Antibacterial gun hone ke karan yeh pimples me bacteria ko khatm kr deta hai. Iske alawa yeh skin ko saf bhi bna deta hai.

Powered by Blogger